Youtube Se Paise Kaise Kamaye 2023 - हिंदी में

Dosto, agar ap is post ko dekh rahe hai to iska matlab ap bhi jaanna chahte hai ki YouTube Se Paise Kamaye.

Aaj ki dunia me log kai sare kaam karke paise kamate hai but agar ap online feild se paise kamana chahte hai to Blogging aur YouTube hi best platform hai jisme thodi mehnat se paise kamaye ja sakte hai.

Yaha mai apko un sabhi baato ke bare me batauga jo youtube se video monitization tak ki sari information k bare me pata lagega.

Ham sabhi ko ye pata hai ki youtube pe kai sare videos uploaded hai aur agar video banane ka sauq rakhte hai to youtube apke aisa platform hai jo apki income ka source ban sakta hai.

Maine dekha hai ajkal kai sare youtubers accha khasa paisa youtube se kama rahe hai.Agar apki bhi isme ruchi hai to apko ye post dhyan se padhna hoga kyuki isme sabhi important cheejo ke bare me mai likh rha hu jo apko ek successful youtuber banne me help karegi.

Agar aap blogging ke madhyam se paise kamana chahte hai to iske lie Blog kaise banaye ye apko seekhna hoga.Ye online tarika bhi kafi accha income karne me help karega but iske liye apko kai sari cheejo ke bare me search karna aur padhna padega. To aaiye samjhte hai ki Youtube Se Paise Kamaye

Youtube Se Paise Kaise Kamaye

youtube se paise kaise kamaye

Har roj kai sare log youtube pe video dekhte hai aur khud ka video banane ka bhi sochte hai but gyan ki kami hone ke karan wo aisa nahi kar pate hai.Youtube par ap video upload karna bahu aasan hai but apko ye dhyan rakhna hoga ki video apka khud ka create kia hua ho copyright hone par apka account ban kar dia jayega aur video bhi delete kar dia jayega.
Agar aap Blogging karna pasand karte hai aur ise bhi part of income banana chahte hai to apko Blog se related sari information prapt karni hogi tab jake hi ap successful blogger ban sakte hai.

Youtube Video Se Paise Kaise Kamaye 

Agar apko pata nahi hai to mai ye bata du ki agar apka youtube channel pe koi video hai jiski views 10000+ hai to ap uspe add ke le apply kar sakte hai.Add lagne ke baad apko us video se earning hone start ho jyegi.

Video Kaise Hone Chaiye:

  • Video banate samay dhyan rakhna hoga ki usme koi copyright clip aur audio/video nahi hona chaiye.
  • Video upload karte samay ek baar jaroor check kare ki wo adsense ki terms & conditions ke anusar ho.
  • Apka video kisi aur ki copy ni honi chaiye nahi to wo apke video pe copyright ka claim kar sakta hai.
  • Video par koi bhi pura song na dale use clips me bana ke aur edit karke upload kare.
Upar batai gai baato par dhyan dekhe video banaye aur upload kare nahi to adsense apko youtune channel ko ban kar dega aur apke videos ko delete kar dega jisse youtube se earning hona band ho jayegi.

Video Banakar Youtube Par Upload Kaise Kare?

Dosto, agar apne video bana li hai to apko ise youtube pe upload karna hoga iske liye kuch steps ko follow karna hoga.
1)Sabse pehle www.gmail.com par jaye.
2) Usme apna ek mail id create kare.
3) Agar apke pass Gmail id hai to direct www.youtube.com par jaye.
4) Waha par apni gmail id dal kar log in kare.

5) Uske baad 'My Channel' par click kare.
6) Ab apko 'Video Manager' ka Tab dikhai dega.
7) Us par click kare aur video upload kare ya uploaded video dekhe.
      Yaha pe maine apko bata dia hai to ki video youtube pe kaise upload kiye jayege aur uploaded video kaha dikhai dege.Ap yhi se apne video ko Monetize kar sakte hai aur videos ko live bhi kar sakte hai.

      Videos Par Jyada Visitors kaise laye?

      Ek baat ap dhyan rakhe ki jab apke videos par jyada se jyada views hoge tabhi ap uspe ads laga sakte hai aur paise kama sakte hai.Apne video par views pane ke liye apko kai tarah ke kaam karne hoge jisse log apke video ko seen kare jab jyada log seen karege to apko earning apne aap hi badh jayegi.

      Ye baat bhi dhyan rakhe ki apki earning Content,CPC, Ads click,Audience aadi ke anusar upar ya niche ho sakti hai.To aaiye dekhe Visitors ko kaise badhaye Youtube video pe
      1. Sabse pehle ek attractive sa video banaye.
      2. Uski editing karke Youtube channel par upload kar de.
      3. Ab use Social media par share kare.
      4. Agar apka ek blog hai to apne blog me us Video ke upar ek post likhe aur usme add kar de.
      5. Comment section me logo dwara pooche gaye sawal ka jawab jaroor de.

      Youtube Se Earning Kaise Kare

      Dosto agar apne upar die gaye steps padh lie hai to apne apna youtube channel bana lia hoga.Ab usme bas apko ek accha sa video upload karna hai aur 1000+ views aane par ap video se earning kar sakte hai.Iske liye apko apna account Adsense pe banana hoga kyuki Google Adsense hi youtube videos par apko payout karega. 

      Earn More via Affiliate Marketing & Sponsored Videos:

      Kya apko pata hai Affliate Marketing aur Sponsored Videos ki help se bhi youtube pe paise kama sakte hai.Affliate Marketing me aapn apne video me kisi company ke product ya service ka link place karte hai.Jab koi viewer us link par click karke us product ya service ko use karta hai to commission ke roop me apko sale ka kuch percent milega.

      Apne dekha hoga ajkal kai sare famous youtuber videos ke beech ya last me kisi prodict ka promotion karte hai.Ye sponsored videos hote hai.Unka channel pe sponsored unse contact karke unhe apne product ka promotion karwate hai jiske liye unhe pay kia jata hai.

      Google Adsense Kya hai?

      Google ka Adsense bahut hi famous platform hai jo free me service provide karta hai. Agar apka Blog ya Youtube channel hai to ap ise Adsense se connect kare aur har ek ads click par paise kamaye.

      Adsense Se Link Kaise Kare

      Apko sabse pehle Youtube channel pe Monetization Option ko Ebalble karna hoga iske baad ap channel ko Google Adsense se Link kar sakte hai.Iske liye ap Monetization Setting me jaker ise dekh sakte aur activate kar sakte hai.

      Aisa karne par apke YT video par ads chalne lag jayege aur viewer ke click karne par aap adsense se paise kama sakte hain.

      Conclusion:

      Dosto maine is article me apko bata dia hai ki Youtube se paise kais kamaye aur Youtube channel kaise banaye.Agar is jankari se apko kafi help hui hai to please is post me comment jarur kare aur koi sawal hai to wo bhi pooche.Ap chahe to is post ko social media jaise facebook, Twitter, Pinterest etc. pe share kar sakte hai.Aur ap hamare contact us page per bhi koi bhi shikayat ya sujhav de sakte hai.

      1 comment: