Dosto agar ap ghar baithe paise kamana chahte hai to apko internet ki help
leni padegi.Ajkal kafi sare log blogging kar rahe aur kai sare log ko ye nahi
pata hai ki blog kaise banaye. Yha dosto mai apko ye bata ki ap khud ki
website kaise bana sakte hai bus apko is article ko pura padhna hoga.
Apko mai yha batana chahuga ki Google hame free me blog banane ki service deta hai. Bas apko blogger.com me jana hoga aur waha apni G-mail Id ka use karke ap khud ka blog create kar sakte hai jise baad me ap website ka roop de sakte hai.
Agar ap soch rahe hai ki website kaise banaye to apko jyada kuch karne ki jarurat nahi hai.Mai apko yha ek tarika batauga jisse aap apne running blog ko website me convert kar sakte hai jo ki bahut hi aasan hai.Aaiye jante hai Free Blog kaise banaye step by step.
Free Me Blog Kaise Banaye
Bahut se log khud ka blog banana chahte hai but unhe ye pata nahi hota ki
khud ka blog kaise banaya jaye.Iske lie yha mai apko sari jankari de rha
hu.Free me blog banane ke lie sabse pehle apko ye pakka karna padega ki ap
kis platform me apna blog banana chahte hai.Free blog keval do platform me
uplabdh hai. Ek hai Blogger aur Dusra hai Wordpress.
Mai apko suggest karuga ki agar apne abhi hi blogging field me kadam rakha
hai to apko Blogger.com se hi suruwat karni chaiye kyunki ye free blog
service to deta hi hai aur beginners ke lie kafi useful bhi hai.
Blog Kya hai aur Kyu Jaruri hai?
Blogger ek aisa platform hai jo google ki taraf se bilkul free hai, jisme koi bhi khud ka blog banakar blogging start kar sakta hai.Isme aap agar chahte hai ki apke pass jo information hai ya kisi feild me apko acchi knowledge hai aur ap use internet per share karna chahte hai to aap khud ka blog banakar use aasani se pure world me share kar sakte hai.
Aaj ki duinia me ghar baithe paise kamana kaafi kathin ho gya hai log kai tariko se paise kamana chahte hai but agar ap internet se paise kamane me intrest rakhte hai to ap online pase kama sakte hai.Iska sabse saral tarika hai blog se paise kamaye.
ये भी देखे : टॉप हिंदी ब्लॉग लिस्ट 2021
Free Me Blog Kaise Banate hai - Step by Step सीखे
Blogger me account banane ke lie apka gmail me account hona bahut jaruri
hai.Agar apka account gmail pe bana hua hai to ap use hi use kar sakte hai
aur agar ap naye account se blog create karna chahte hai to ap ne gmail id
bana sakte hai.
1) Sabse pehle apne Pc ya Mobile browser par
www.blogger.com ya www.blogspot.com kholiye.
2) Yaha aap apni purani or nai Gmail Id aur Passoword dalkar isme login
kar sakte hai.
3) Iske baad apko 'New Blog' Option par click karna hoga.
4) Ab apke samne new page khulega jaha apko blog se related sari
information step by step fill karni hogi.
- Title: Isme apko apne blog ka name likhna hai jaise maine apne blog ka name likha hai
- Address: Yaha par apko apne blog ka URL set karna hai.Jo bad me apka blog address ho jayega.Ise aap apne pasand ka set kar sakte hai but ye bhi dekhna hoga ki ye available hai ki nahi.
- Template: Is option me apko apne blog me lagane ke ek template ko select karna hoga.Waise blogger me already kai sare template hai aur ap chahe to alag se download karke laga sakte hai.
- Akhir me Apko Create Blog par click karna hai.
5) 4 step pe clcik karte hi apka blog create ho jayega aur ap blog ke
homepage pr yani Dashboard pr aa jayege jo kuch is tarah dikhega.
6) Ab apka blog complete ban kar taiyar ho chuka hai ab ap New Post Option
par click karke New article likh kar apne blog par share kar sakte hai.
ये भी देखे : ब्लॉग्गिंग के लिए खुद को मोटीवेट कैसे करे
hello sir 😊
ReplyDeletemain aapko lagbhag 1 sal se follow kar raha hun
aapse bahut kuch sikhne ko mila
aapse inspire hokar mqaine bhi ek blog chalu kiya hai hai
sree study
please dekhkar bataye kya sudhar karu
thank yo so much sir 😊
यह आर्टिकल इतना अच्छा था की मेने इस आर्टिकल का एक शब्द भी छोड़ा नहीं , इस आर्टिकल को पढ़ते - पढ़ते समय कब बीत गया पता ही नही चल पाया । sir में आपके आर्टिकल रोज पढ़ता हूं और अच्छा लगने पर शेयर भी करता हूं । आपसे सीखकर मेने online app kaise banaye पर आर्टिकल लिखा है । sir/mam , आप हमेशा आर्टिकल लिख कर हमारी मदद करते हैं और हमारा भी फर्ज बनता है की आपके आर्टिकल ज्यादा से ज्यादा शेयर करे । sir/mam, अब मुझे जाने की इजाजत दीजिए ।
ReplyDelete